
I Love Muhammad ﷺ
Ghum Ho Gaye Be-Shumaar Aaqa ﷺ Bandah Tere Nisaar Aaqa ﷺ Bigda Jaata Hai Khel Mera Aaqa Aaqa Sanwar Aaqa ﷺ Manjhdhaar Pe Aa ke Naawo Doobi De Haath Ke Hoon Main Paar Aaqa ﷺ Tooti Jaati Hai Pith Meri Lillah Ye Bojh Utaar Aaqa ﷺ Halka Hai Agar Hamara Palla Bhaari Hai Tera Waqar Aaqa ﷺ Majboor Hain Hum To Fikr Kya Hai Tumko To Hai ikhteyar Aaqa ﷺ Main Door Hoon Tum To Ho Mere Pas Sun Lo Meri Pukar Aaqa ﷺ Mujhsa Koyi Ghumzadah Na Hoga Tum Sa Nhi Ghumgusar Aaqa ﷺ
535455
#imam#kareem#dil#Muhammad#aalahazrat#best#mahboob#khuda#qismat#mohabbat#world#everything#aaqa#habeeb#nabi#Life#Rasool#pyar#love#Rab#ishq#great#holy#city#masjid#Allah#jaan#prophet#kaaba#madina
Komentar 0











