
I Love Muhammad ﷺ
Ghum Ho Gaye Be-Shumaar Aaqa ﷺ Bandah Tere Nisaar Aaqa ﷺ Bigda Jaata Hai Khel Mera Aaqa Aaqa Sanwar Aaqa ﷺ Manjhdhaar Pe Aa ke Naawo Doobi De Haath Ke Hoon Main Paar Aaqa ﷺ Tooti Jaati Hai Pith Meri Lillah Ye Bojh Utaar Aaqa ﷺ Halka Hai Agar Hamara Palla Bhaari Hai Tera Waqar Aaqa ﷺ Majboor Hain Hum To Fikr Kya Hai Tumko To Hai ikhteyar Aaqa ﷺ Main Door Hoon Tum To Ho Mere Pas Sun Lo Meri Pukar Aaqa ﷺ Mujhsa Koyi Ghumzadah Na Hoga Tum Sa Nhi Ghumgusar Aaqa ﷺ
535455
#Muhammad#masjid#aalahazrat#best#dil#aaqa#pyar#ishq#Life#prophet#Allah#everything#world#great#imam#qismat#mohabbat#holy#mahboob#nabi#city#jaan#kaaba#Rasool#khuda#madina#Rab#habeeb#kareem#love
التعليقات 0











