
I Love Muhammad ﷺ
Sabse Aula Wo A'ala Hamara Nabi ﷺ Sabse Baala Wo Waala Hamara Nabi ﷺ Apne Maula Ka Pyara Hamara Nabi ﷺ Dono A'alam Ka Dulha Hamara Nabi ﷺ Saare Achho Me Achha Samajhiye Jise Hain Us Achhe Se Achha Hamara Nabi ﷺ Saare Uncho Me Uncha Samajhiye Jise Hain Us Unche Se Uncha Hamara Nabi ﷺ Jaise Sab Ka Khuda Ek Hai Waise Hi Inka Unka Tumhara Hamara Nabi ﷺ Khalq Se Auliya, Auliya Se Rasool Aur Rasoolon Se A'ala Hamara Nabi ﷺ Kaun Deeta Hai Dene Ko Munh Chahiye Dene Wala Hai Sachha Hamara Nabi ﷺ
211523Всі права захищено
#Life#nabi#everything#jaan#kaaba#dil#aaqa#great#love#imam#prophet#khuda#ishq#Rasool#mohabbat#qismat#mahboob#world#Allah#best#pyar#madina#city#masjid#Muhammad#Rab#aalahazrat#kareem#habeeb#holy
Коментарі 0











