
I Love Muhammad ﷺ
Ghum Ho Gaye Be-Shumaar Aaqa ﷺ Bandah Tere Nisaar Aaqa ﷺ Bigda Jaata Hai Khel Mera Aaqa Aaqa Sanwar Aaqa ﷺ Manjhdhaar Pe Aa ke Naawo Doobi De Haath Ke Hoon Main Paar Aaqa ﷺ Tooti Jaati Hai Pith Meri Lillah Ye Bojh Utaar Aaqa ﷺ Halka Hai Agar Hamara Palla Bhaari Hai Tera Waqar Aaqa ﷺ Majboor Hain Hum To Fikr Kya Hai Tumko To Hai ikhteyar Aaqa ﷺ Main Door Hoon Tum To Ho Mere Pas Sun Lo Meri Pukar Aaqa ﷺ Mujhsa Koyi Ghumzadah Na Hoga Tum Sa Nhi Ghumgusar Aaqa ﷺ
535455
#best#imam#love#Allah#holy#prophet#Life#world#jaan#kaaba#Muhammad#nabi#masjid#pyar#ishq#kareem#great#qismat#city#madina#everything#habeeb#khuda#aalahazrat#dil#Rasool#aaqa#Rab#mahboob#mohabbat
Коментарии 0











