
I Love Muhammad ﷺ
Sabse Aula Wo A'ala Hamara Nabi ﷺ Sabse Baala Wo Waala Hamara Nabi ﷺ Apne Maula Ka Pyara Hamara Nabi ﷺ Dono A'alam Ka Dulha Hamara Nabi ﷺ Saare Achho Me Achha Samajhiye Jise Hain Us Achhe Se Achha Hamara Nabi ﷺ Saare Uncho Me Uncha Samajhiye Jise Hain Us Unche Se Uncha Hamara Nabi ﷺ Jaise Sab Ka Khuda Ek Hai Waise Hi Inka Unka Tumhara Hamara Nabi ﷺ Khalq Se Auliya, Auliya Se Rasool Aur Rasoolon Se A'ala Hamara Nabi ﷺ Kaun Deeta Hai Dene Ko Munh Chahiye Dene Wala Hai Sachha Hamara Nabi ﷺ
211523Alle rechten voorbehouden.
#pyar#dil#mahboob#everything#ishq#qismat#best#nabi#aalahazrat#habeeb#aaqa#khuda#kareem#great#masjid#world#prophet#kaaba#madina#jaan#Allah#Rasool#holy#imam#love#city#Rab#Muhammad#Life#mohabbat
Reacties 0











